Menu principal :
Nawhas en texte
Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada (Salaam Mir Hasan Mir 2011)
Aaj bhi Zainab ki aati hai sada bhaayi Hussain
Tera chehra, teri ankhein, bhool kab paayi Hussain.
Chaltay naaqe se giraya
khud ko jalti rait par
Ghutnion kay bal may teri
laash tak aayi Hussain...
Bass mein ghabraayi thi khanjar
tujh pay chalta dekh kar
Phir kisi mushkil may ghir kar
main na ghabrayi Hussain..
Kaun tha jo marnay walon
may nahi tha khubaroo
Bhoolnay bethi to kis kis
ki na yaad ay Hussain...
Beh rahay thay aankh se
aanso teri rukhsat kay waqt
Phir koyi anso na tapkaa
aankh pathraye Hussain...
Haath may kuze liye sab
aasmaan taktay rahe
Abr nay ek boond paani
ki na barsaayi Hussain...
Door uftada safar say
laut kar may nay Naved
Thanda paani jab piya bas
teri yaad ai Hussain..
Proposé par Laila Salam
Textes disponibles sur le site
Liste des Nawhas en texte disponibles
Liste des Qassidas en texte disponibles